Fana Nizami Kanpuri

saqiya tu ne mere zarf ko samjha kya hai

Fana Nizami Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1922-1988
sāqiyā tū ne mire zarf ko samjhā kyā hai
zahr pī lūñgā tire haath se sahbā kyā hai
maiñ chalā aayā tirā husn-e-taġhāful le kar
ab tirī anjuman-e-nāz meñ rakkhā kyā hai
na bagūle haiñ na kāñTe haiñ na dīvāne haiñ
ab to sahrā kā faqat naam hai sahrā kyā hai
ho ke māyūs-e-vafā tark-e-vafā to kar luuñ
lekin is tark-e-vafā kā bhī bharosā kyā hai
koī pāband-e-mohabbat hī batā saktā hai
ek dīvāne kā zanjīr se rishta kyā hai
sāqiyā kal ke liye maiñ to na rakkhūñgā sharāb
tere hote hue andesha-e-fardā kyā hai
merī tasvīr-e-ġhazal hai koī ā.īna nahīñ
saikḌoñ ruḳh haiñ abhī aap ne dekhā kyā hai
sāf-goī meñ to sunte haiñ 'fanā' hai mash.hūr
dekhnā ye hai tire muñh pe vo kahtā kyā hai
Top Urdushayar.com