jab bhī nazm-e-mai-kada badlā gayā
ik na ik jām-e-hasīñ toḌā gayā
jab safīna mauj se Takrā gayā
nāḳhudā ko bhī ḳhudā yaad aa gayā
maiñ ne chheḌā qissa-e-jaur-e-falak
jaane kyuuñ un ko pasīna aa gayā
dekh kar un kī jafāoñ kā ḳhulūs
maiñ vafā ke naam par sharmā gayā
aap ab aa.e aañsū poñchhne
jab mire dāman pe dhabba aa gayā