Fana Nizami Kanpuri

husn ka ek aah ne chehra niDhaal kar diya

Fana Nizami Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1922-1988
husn kā ek aah ne chehrā niDhāl kar diyā
aaj to ai dil-e-hazīñ tū ne kamāl kar diyā
sahtā rahā jafā-e-dost kahtā rahā adā-e-dost
mere ḳhulūs ne mirā jiinā muhāl kar diyā
mai-kade meñ hai qaht-e-mai yā koī aur baat hai
pīr-e-muġhāñ ne kyuuñ mujhe jaam sambhāl kar diyā
jitne chaman-parast the sāya-e-gul meñ mast the
apnā urūj-e-gulistāñ nazr-e-zavāl kar diyā
ḳhud mirā soz-e-jāñ-gudāz chheḌ sakā na dil kā saaz
aap kī ik nigāh ne sāhab-e-hāl kar diyā
bazm meñ saare ahl-e-hosh un ke sitam pe the ḳhamosh
ek junūñ-parast ne uTh ke savāl kar diyā
lutf-e-firāq-e-yār ne lazzat-e-intizār ne
duur dil o nigāh se shauq-e-visāl kar diyā
sun ke bayān-e-mai-kadā dekh ke shān-e-mai-kadā
shaiḳh-e-haram ne bhī 'fanā' mai ko halāl kar diyā
Top Urdushayar.com