jhūTī hī tasallī ho kuchh dil to bahal jaa.e
dhu.dlī hī sahī lekin ik sham.a to jal jaa.e
is mauj kī Takkar se sāhil bhī laraztā hai
kuchh roz to tūfāñ kī āġhosh meñ pal jaa.e
majbūri-e-sāqī bhī ai tishna-labo samjho
vaa.iz kā ye manshā hai mai-ḳhvāroñ meñ chal jaa.e
ai jalva-e-jānānā phir aisī jhalak dikhlā
hasrat bhī rahe baaqī armāñ bhī nikal jaa.e
is vāste chheḌā hai parvānoñ kā afsāna
shāyad tire kānoñ tak paiġhām-e-amal jaa.e
mai-ḳhāna-e-hastī meñ mai-kash vahī mai-kash hai
sambhle to bahak jaa.e bahke to sambhal jaa.e
ham ne to 'fanā' itnā mafhūm-e-ġhazal samjhā
ḳhud zindagī-e-shā.er ash.ār meñ Dhal jaa.e