Fana Nizami Kanpuri

tu phul ki manind na shabnam ki tarah aa

Fana Nizami Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1922-1988
tū phuul kī mānind na shabnam kī tarah aa
ab ke kisī be-nām se mausam kī tarah aa
har martaba aatā hai mah-e-nau kī tarah tū
is baar zarā merī shab-e-ġham kī tarah aa
hal karne haiñ mujh ko ka.ī pechīda masā.il
ai jān-e-vafā gesu-e-pur-ḳham kī tarah aa
zaḳhmoñ ko gavārā nahīñ yak-rañgi-e-hālāt
nashtar kī tarah aa kabhī marham kī tarah aa
nazdīkī o duurī kī kashākash ko miTā de
is jañg meñ tū sulh ke parcham kī tarah aa
maanā ki mirā ghar tirī jannat to nahīñ hai
duniyā meñ mirī laġhzish-e-ādam kī tarah aa
tū kuchh to mire zabt-e-mohabbat kā sila de
hañgām-e-fanā dīda-e-pur-nam kī tarah aa
Top Urdushayar.com