ahl-e-ġham se ishrat-e-ālam kā sāmāñ ho gayā
jab zamīñ kī daaġh ubhar aa.e gulistāñ ho gayā
apnī had se baḌh ke jaatā kis taraf ko dil mirā
jaan paḌte hī ye musht-e-ḳhāk be-jāñ ho gayā
ishq ke ba.ad ab havādis kī zarūrat kyā rahī
āsmāñ dam le mire marne kā sāmāñ ho gayā
hashr meñ pahchān kar qātil kā muñh takne lagā
jab zarūrat hosh kī dekhī to hairāñ ho gayā
ḳhuftagān-e-ḳhāk kitnā be-mahal so.e ki ab
majma-e-ahbāb ik ḳhvāb-e-pareshāñ ho gayā
inqalāb aa kar madad dete haiñ istedād ko
karvaTeñ badleñ lahū ne aur insāñ ho gayā
rāsta vahshat ko āḳhir mil gayā tañgī meñ bhī
ye garebāñ thā jo do hāthoñ meñ dāmāñ ho gayā
vus.at-e-sahn-e-jahāñ kuchh kam na thī ai ishq dost
kyuuñ ghaTā itnā ki dil vāloñ ko zindāñ ho gayā
bāġhbāñ kī raa.e meñ maiñ be-haqīqat thā magar
ba.ad mere āshiyāñ dāġh-e-gulistāñ ho gayā
ruk chalā hai beach meñ ḳhanjar ilāhī ḳhair ho
dam na niklegā agar qātil pashemāñ ho gayā
ek qatra bahr-e-isyāñ kā thā jo yuuñ sar chaḌhā
palte palte dāman-e-ālam meñ tūfāñ ho gayā
jab koī aañsū mizha par aa ke chamkā shām-e-ġham
maiñ ye samjhā sub.h kā taarā numāyāñ ho gayā
shukr shāne kā karūñ yā sabr ko DhūñDūñ kahīñ
zulf to simTī magar haañ dil pareshāñ ho gayā
kam se kam par aaj raazī haiñ shahīdoñ ke mazār
aap hañs deñge to samjheñge charāġhāñ ho gayā
jis meñ lākhoñ phuul the 'sāqib' vo bāġh-e-dil-kushā
ek hī gardish meñ gardūñ kī bayābāñ ho gayā