chaar sū hasratoñ kī pahnā.ī
zindagī kis taraf chalī aa.ī
aa ġham-e-zindagī kahāñ hai tū
aarzū le rahī hai añgḌā.ī
phir vahī tīra-baḳhtiyāñ apnī
phir shab-e-ġham hai aur tanhā.ī
ġhaur kiije to yaad aa.egā
thī kabhī aap se shanāsā.ī
jā.iye aap koī baat nahīñ
aañkh thī be-ḳhudī meñ bhar aa.ī
ibtilāoñ meñ kyā ghire 'safdar'
zindagī kī ravish hī gahnā.ī