Karamat Ghauri

bahut thakan badan mein mere safar ki rahi

Karamat Ghauri

bahut thakān badan meñ mire safar kī rahī
magar vo shauq kī manzil ki har nagar kī rahī
vo jis pe chal ke sadā paañv zaḳhm zaḳhm hue
na jaane khoj hameñ kyoñ usī Dagar kī rahī
jo merī zaat kī pinhā.iyāñ samajh letī
tamām umr zarūrat usī nazar kī rahī
jab apne aap meñ Duube falak ko chhū aa.e
ki ehtiyāj hameñ ab na bāl-o-par kī rahī
hamīñ se sunnat-e-mansūr ab bhī zinda hai
ki har zamāne ko hājat hamāre sar kī rahī
bilā-sabab to 'karāmat' pe apnī naaz nahīñ
ki chār-dāñg meñ shohrat mire asar kī rahī
Top Urdushayar.com