Rasool Saqi

shauq se aae bura waqt agar aata hai

Rasool Saqi

Darbhanga, Bihar, India

1968
shauq se aa.e burā vaqt agar aatā hai
ham ko har haal meñ jiine kā hunar aatā hai
ġhaib se koī na dīvār na dar aatā hai
jab ka.ī dar se guzarte haiñ to ghar aatā hai
aaj ke daur meñ kis shai kī tamannā kiije
hotā kuchh aur hai kuchh aur nazar aatā hai
pahle ik huuk sī uThtī hai lab-e-sāhil par
phir kahīñ jā ke samundar meñ bhañvar aatā hai
ḳhud mirī chīḳh sunā.ī nahīñ detī mujh ko
is tarah dil meñ koī ḳhauf utar aatā hai
ek to der talak niiñd nahīñ aatī hai
aur phir ḳhvāb bhī to pichhle pahar aatā hai
kis kī tāzīm ko uThtī haiñ umañgeñ dil kī
hujra-e-ḳhās meñ ye kaun bashar aatā hai
mere is ḳhvāb kī ta.abīr koī batlā.e
nuqra.ī tasht meñ shāhīn kā par aatā hai
jaane kis haal meñ rakhtī hai ye duniyā mujh ko
jaane kis baat pe dil dard se bhar aatā hai
vaise to kahne ko sach baat sabhī kahte haiñ
is kī pādāsh meñ kyuuñ merā hī sar aatā hai
Top Urdushayar.com