Rasool Saqi

meri din ke ujalon par nazar hai

Rasool Saqi

Darbhanga, Bihar, India

1968
mirī din ke ujāloñ par nazar hai
sitāroñ kā karishma raat bhar hai
vo hañstā hai magar ruḳhsār nam haiñ
ye shāyad pichhle mausam kā asar hai
kisī kī aib-jūī hī kiyā kar
abhī ke daur meñ ye bhī hunar hai
yahāñ ke saare mausam ek se haiñ
yahī is shahr kī taaza ḳhabar hai
sipāhī jañg se kab lauTte haiñ
vo koī aur hai zinda agar hai
akelā raat ko din kar rahā huuñ
mirī gardish meñ shāmil har bashar hai
ye jugnū kal kā sūraj devtā hai
magar ye tīrgī par munhasir hai
ḳhudā to ek hai lekin sunā hai
zamāna ek ke aage sifar hai
Top Urdushayar.com