sub.h-e-nushūr kyuuñ mirī āñkhoñ meñ nuur aa gayā
terī naqāb ulaT ga.ī yā koh-e-tūr aa gayā
vo bhī ajiib vaqt thā mujh pe hayāt tañg thī
lekin usī azaab meñ jiinā zarūr aa gayā
tum ne to koh-qāf meñ umr-e-azīz kaaT dī
lekin vo tifl kyā kare jis ko shu.ūr aa gayā
is arsa-e-hijāb kī āḳhir ko had bhī hai kahīñ
terī talāsh meñ koī duniyā se duur aa gayā
duniyā ko dekh dekh ke apnī vaz.a badal ga.ī
varna vo nuur maiñ hī thā jo sar-e-tūr aa gayā
zāhid use burā na kah maanā ki rañg surḳh hai
āñkhoñ se mai chhalak ga.ī dil ko surūr aa gayā