lāv-lashkar jāh-o-hashmat hai yahāñ
shaah koī kab salāmat hai yahāñ
bārgāh-e-dirham-o-dīnār hai
har koī miskīn sūrat hai yahāñ
be-zabānī par mirī bolā ḳhudā
lab-kushā.ī kī ijāzat hai yahāñ
ai fasīl-e-shahr tū rahiyo gavāh
sāhib-e-ālam kī hurmat hai yahāñ
shahr kyā hai ek dasht-e-be-hisī
gaañv to phir bhī ġhanīmat hai yahāñ
ham kareñge jo hamāre bas meñ hai
baaqī apnī apnī qismat hai yahāñ
rū-ba-rū hotā hai apnā zikr-e-ḳhair
pīTh-pīchhe saarī ġhībat hai yahāñ
dar nahīñ darbān ko sajda karo
kāmyābī kī zamānat hai yahāñ
tum hamāre ho kuchh is meñ shak nahīñ
bas zarā har shai kī qīmat hai yahāñ
saare apne hī haiñ terī bazm meñ
ġhair to bas dil kī hālat hai yahāñ
ishq to ruḳhsat huā majnūñ ke saath
kis liye lailā kī shohrat hai yahāñ
kis qadar ghis-piT gayā ye qāfiya
jis taraf dekho mohabbat hai yahāñ
ishq hai bāzī-gar-e-mulk-e-adam
husn bhī kufrān-e-ne.amat hai yahāñ