ghar se nikal ke aa.e haiñ bāzār ke liye
ye bhīḌ-bhāḌ achchhī hai be-kār ke liye
ham yaar ke liye haiñ na dīdār ke liye
Tairis pe aa ke baiThe haiñ aḳhbār ke liye
dil-jūī kar rahā hai bahut der se tabīb
kyā āḳhirī davā hai ye bīmār ke liye
maiñ ne to is dayār meñ sab kuchh luTā diyā
duniyā safar pe jaatī hai ghar-bār ke liye
mere dil-e-tabāh meñ itnī jagah kahāñ
us ne jagah nikālī hai dīvār ke liye
tum ne to maanā jurm kā iqrār kar liyā
lekin mujhe sazā milī inkār ke liye
ai māh-rū umiid kī koī kiran to ho
ham jaise tīrgī ke giraftār ke liye
aisā nahīñ ki shahar meñ āsāniyāñ na huuñ
lekin vo sab haiñ lamha-e-dushvār ke liye