Jigar Jalandhari

jab koi gham hi na ho ashk bahaun kaise

Jigar Jalandhari

Amritsar, Punjab, India

1935
jab koī ġham hī na ho ashk bahā.ūñ kaise
ḳhud ko duniyā kī adākārī sikhā.ūñ kaise
terī har ek jhalak aur baḌhātī hai talab
aise meñ pyaas nigāhoñ kī bujhā.ūñ kaise
ḳhud-baḳhud āñkhoñ ke paimāne chhalak paḌte haiñ
shiddat-e-ġham ko chhupā.ūñ to chhupā.ūñ kaise
chāñd-tāroñ se zarā bhī tujhe taskīn nahīñ
zindagī ab maiñ tirī maañg sajā.ūñ kaise
jis ko aane kī tasavvur meñ bhī fursat na mile
hāl-e-dil us ko sunā.ūñ to sunā.ūñ kaise
bach ke duniyā kī nigāhoñ se ḳhatā kar to luuñ
apnī nazroñ se magar ḳhud ko girā.ūñ kaise
aag ho to use paanī se bujhā bhī luuñ 'jigar'
ye lagī dil kī hai maiñ us ko bujhā.ūñ kaise
Top Urdushayar.com