Jigar Jalandhari

jab wo na-mehrban nahin hota

Jigar Jalandhari

Amritsar, Punjab, India

1935
jab vo nā-mehrbāñ nahīñ hotā
āsmāñ āsmāñ nahīñ hotā
ham zamāne se kyā umiid kareñ
tū hī jab mehrbāñ nahīñ hotā
kahāñ ārām DhūñDne jaa.eñ
kis jagah āsmāñ nahīñ hotā
merī nazroñ se duur rah kar bhī
vo nazar se nihāñ nahīñ hotā
uzr ab kyuuñ hai mujh se milne meñ
maiñ tire darmiyāñ nahīñ hotā
us ko nazreñ bayān kartī haiñ
jo zabāñ se bayāñ nahīñ hotā
dard kā kyā subūt pesh karūñ
us kā koī nishāñ nahīñ hotā
dair-o-ka.aba meñ DhūñDne vaalo
us kā jalva kahāñ nahīñ hotā
laakh ārām hoñ qafas meñ magar
phir bhī vo āshiyāñ nahīñ hotā
imtihān-e-vafā se baḌh ke 'jigar'
koī bhī imtihāñ nahīñ hotā
Top Urdushayar.com