Jigar Jalandhari

kis ka lab par mere fasana hai

Jigar Jalandhari

Amritsar, Punjab, India

1935
kis kā lab par mire fasānā hai
hama-tan-gosh ik zamāna hai
zindagī ek ḳhvāb hai lekin
is haqīqat ko kis ne jaanā hai
kis tarah ġham ko chhoḌ duuñ yak-laḳht
is se rishta bahut purānā hai
aur thoḌī sī kījiye taklīf
do qadam par ġharīb-ḳhāna hai
aap ko lauTne kī der hai bas
umr-e-rafta ko lauT aanā hai
zindagī tujh se kyā maiñ pyaar karūñ
chaal terī musāfirāna hai
rū-ba-rū dil ke hai vo shoḳh-nazar
barq kī zad meñ āshiyānā hai
hai tamannā kisī se milne kī
maut to ai 'jigar' bahānā hai
Top Urdushayar.com