Jigar Jalandhari

jo log ujale ko ujala nahin kahte

Jigar Jalandhari

Amritsar, Punjab, India

1935
jo log ujāle ko ujālā nahīñ kahte
ham un ko burā kahte haiñ achchhā nahīñ kahte
jo joḌ na de TuuTe hue taar diloñ ke
ham us ko mohabbat kā tarānā nahīñ kahte
jiinā ise kahte haiñ jo ho auroñ kī ḳhātir
apne liye jiine ko to jiinā nahīñ kahte
insāñ ke dil-o-zehn munavvar na hoñ jis se
ham aise ujāle ko ujālā nahīñ kahte
hairat meñ kabhī jalve ko ham kahte haiñ parda
parde ko kabhī shauq meñ parvā nahīñ kahte
tum sāmne ho aur tumheñ dekh na paa.eñ
ham aise nazāre ko nazārā nahīñ kahte
ham tum sā hasīñ kaise kaheñ shams-o-qamar ko
har husn ko to husn-e-sarāpā nahīñ kahte
dil rakhne ko muñh se yūñhī kah dete haiñ achchhā
dil se to 'jigar' vo hameñ achchhā nahīñ kahte
Top Urdushayar.com