kisī se rabt nahīñ hai kisī se pyaar mujhe
na jaane rahtā hai phir kis kā intizār mujhe
har ek saañs mirī umr ko ghaTātī hai
nafas kā taar hai goyā kafan kā taar mujhe
mirī bahār ko mausam kā intizār nahīñ
koī jo hañs ke milā mil ga.ī bahār mujhe
na be-qarār ho tū merī be-qarārī par
taḌap taḌap ke ḳhud aa jā.egā qarār mujhe
ye dil kā aa.ina ab toḌne ke qābil hai
dikhā.ī detā nahīñ us meñ rū-e-yār mujhe
kisī ke husn kī maiñ ne bahār dekhī hai
chaman ke phuul dikhāte haiñ kyā bahār mujhe
ye ḳhud-farebī hai merī ki ḳhud-farāmoshī
na aane vaale kā rahtā hai intizār mujhe
mire vajūd se harakat to hai zamāne meñ
agarche mauj kī sūrat nahīñ qarār mujhe
mire chaman hī se vābastagī hai donoñ kī
aziiz kyuuñ na hoñ phūloñ ke saath ḳhaar mujhe
'jigar' ke ḳhuun se āñkhoñ meñ surḳh Dore haiñ
samajh rahā hai zamāna sharāb-ḳhvār mujhe