Jigar Jalandhari

us zulf ki tausif batai nahin jati

Jigar Jalandhari

Amritsar, Punjab, India

1935
us zulf kī tausīf batā.ī nahīñ jaatī
ik lambī kahānī hai sunā.ī nahīñ jaatī
dil hai ki marā jaatā hai dīdār kī ḳhātir
ham haiñ ki udhar aañkh uThā.ī nahīñ jaatī
ashkoñ se kabhī soz-e-jigar kam nahīñ hotā
ye aag to paanī se bujhā.ī nahīñ jaatī
dil ye to tirā dāġh-e-muhabbat na chhupegā
ā.īne se tasvīr chhupā.ī nahīñ jaatī
yārab kahāñ le jā.ūñ maiñ hasrat-zada dil ko
ye laash to ab mujh se uThā.ī nahīñ jaatī
aahoñ se kamī ġham meñ na hogī dil-e-nādāñ
phūñkoñ se kabhī aag bujhā.ī nahīñ jaatī
kyuuñ ashk-e-nadāmat na bahā.eñ 'jigar' āñkheñ
jo dil meñ lagī hai vo bujhā.ī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com