ik nihattā aadmī tadbīr se
kyā laḌe taqdīr kī shamshīr se
muskurānā zer-e-lab har vaqt hī
koī sīkhe aap kī tasvīr se
phuul se pesh aa.iye narmī ke saath
kāTiye shamshīr ko shamshīr se
dil meñ terī yaad se hai raushnī
aañkh raushan hai tirī tasvīr se
apne dīvāne kī betābī kā haal
pūchhiye TuuTī huī zanjīr se