Jigar Jalandhari

dard-e-dil ki dawa na ho jae

Jigar Jalandhari

Amritsar, Punjab, India

1935
dard-e-dil kī davā na ho jaa.e
zindagī be-mazā na ho jaa.e
lutf detī hai kyā umīd-e-vafā
bevafā bā-vafā na ho jaa.e
kaise betāb un ko dekhūñgā
aah yārab rasā na ho jaa.e
dil meñ hasrat basā to lī hai magar
ye kaḌī silsila na ho jaa.e
apnī duniyā usī se raushan hai
gul charāġh-e-vafā na ho jaa.e
ham sitam ko karam samajhte haiñ
un pe ye raaz vā na ho jaa.e
ik zamāna hai us kā dīvāna
kahīñ vo but ḳhudā na ho jaa.e
dil hī sab se baḌā sahārā hai
dil kisī se judā na ho jaa.e
tum agar chhū lo apne hoñToñ se
sher merā tirā na ho jaa.e
dil luTā kar 'jigar' hamārī tarah
koī be-āsrā na ho jaa.e
Top Urdushayar.com