Jigar Jalandhari

jab nigahen laDin nigahon se

Jigar Jalandhari

Amritsar, Punjab, India

1935
jab nigāheñ laḌīñ nigāhoñ se
āñdhiyāñ uTThīñ dil kī rāhoñ se
jurm sābit na ho to jurm nahīñ
qatl karte raho nigāhoñ se
ham ne tūfān paal rakkhe haiñ
apne ashkoñ se apnī aahoñ se
apne jalvoñ ko dekhne ke liye
ḳhud ko dekho mirī nigāhoñ se
gard-e-rah kā bhī ehtirām karo
us ko nisbat hai bādshāhoñ se
is tarah sāmne vo aate haiñ
dekhā jaatā nahīñ nigāhoñ se
terī rahmat ko rakh ke madd-e-nazar
dil ko bahlā liyā gunāhoñ se
vahī dil ke qarīb rahte haiñ
duur rahte haiñ jo nigāhoñ se
jab se dhoke diye haiñ dil ne mujhe
bach ke rahtā huuñ ḳhair-ḳhvāhoñ se
zarra zarra mahak uThā hai jigar
kaun guzrā hai dil kī rāhoñ se
Top Urdushayar.com