Jigar Jalandhari

be-tabiyon mein ashkon mein nalon mein ghir gae

Jigar Jalandhari

Amritsar, Punjab, India

1935
be-tābiyoñ meñ ashkoñ meñ nāloñ meñ ghir ga.e
ya.anī ham apne chāhne vāloñ meñ ghir ga.e
aayā na ḳhvāb meñ bhī kabhī apnā kuchh ḳhayāl
ham is qadar añdheroñ ujāloñ meñ ghir ga.e
sab ahl-e-zarf rāh-e-amal par hue ravāñ
kam-zarf idhar udhar ke ḳhayāloñ meñ ghir ga.e
un ke qadam na chuum sakīñ manzileñ kabhī
raahī jo apne paañv ke chhāloñ meñ ghir ga.e
un ko ḳhushī maiñ un kī mohabbat meñ qaid huuñ
mujh ko ḳhushī vo mere ḳhayāloñ meñ ghir ga.e
jin ko nasīb ho na sakeñ dil kī mastiyāñ
vo bad-nasīb mai ke pyāloñ meñ ghir ga.e
ik pal bhī rah sake na akele ham ai 'jigar'
nikle jo bhiiḌ se to ḳhayāloñ meñ ghir ga.e
Top Urdushayar.com