jāgtī ā.ankhoñ ko ḳhvāboñ kī sazā de jā.egā
phir purānā dost koī dukh nayā de jā.egā
jaane kab TūTegā ye lafz o ma.ānī kā tilism
jaane kab vo gūñge lafzoñ ko sadā de jā.egā
būḌhī ā.ankhoñ ne sajāyā hai javāñ beTe kā ḳhvāb
kāñpte hāthoñ meñ ik ḳhat Dākiya de jā.egā
raat din lipTā hai pairoñ se mire andhā safar
ajnabī ehsās manzil kā patā de jā.egā
muskurātī zindagī ke ḳhuun kā pyāsā uqaab
vaqt ke hāthoñ meñ zaḳhmī fāḳhta de jā.egā
jhuuT is se pahle to bachchoñ ke hoñToñ par na thā
bhuuk kā aaseb un ko aur kyā de jā.egā
raat ke āñgan meñ sūraj ke musāfir kā qayām
phuul se jismoñ ko zaḳhmoñ kī qabā de jā.egā
mere munsif faisla terā sar-e-taslīm ḳham
jo bhī kuchh hogā muqaddar kā likhā de jā.egā
phir dulhan banñe se pahle muflisī beva huī
phir amīr-e-shahr ḳhvāboñ ko chitā de jā.egā