rāste ḳhauf-zada karte rahe
ham-safar meñ the duā karte rahe
muskurāne kī sazā miltī rahī
muskurāne kī ḳhatā karte rahe
umr bhar qarz adā ho na sakā
umr bhar qarz adā karte rahe
ḳhvāb āñkhoñ se judā ho na sake
ḳhvāb āñkhoñ se judā karte rahe
aap ne jo bhī kahā ham ne sunā
aap ne jo bhī kahā karte rahe
vaqt bhī ham se gilā kartā rahā
vaqt se ham bhī gilā karte rahe
aur vo pās-e-vafā kar na sake
aur ham pās-e-vafā karte rahe