sahar hī aa.ī na vo shāhid-e-sahar aayā
ġhubār-e-shab kā musāfir hī mere ghar aayā
thakan kī dhuup Dhalī bhī nahīñ thī sar se abhī
azāb-e-hukm-e-safar mujh pe phir utar aayā
diyā jalāte hue haath kāñpte kyuuñ haiñ
kahāñ se ḳhauf badan meñ havā kā dar aayā
ye lamha lamha bikhartī huī anā kā vajūd
na ye zamīn na vo āsmāñ nazar aayā
ridā rahī na badan par koī qabā shādāb
ye kaun dhuup meñ dekho barahna-sar aayā
badan tamām huā hai lahū-luhān mirā
na.ī rutoñ kā musāfir ba-chashm-e-tar aayā
bahut aziiz hai apne vatan kī ḳhaak hameñ
jo ḳhvāb āñkhoñ meñ aayā vo mo'tabar aayā