bujhtī huī ā.ankhoñ kī umīdoñ kā diyā huuñ
maiñ tez havāoñ kī hathelī pe rakhā huuñ
maiñ apnī hī āvāz kī pahchān meñ gum huuñ
tanhā.ī ke sahrā meñ daraḳhtoñ kī sadā huuñ
maiñ roz nikal paḌtā huuñ anjāne safar par
manzil ke qarīb aa ke bhī manzil se judā huuñ
har sub.h na.e karb ke chehroñ se mulāqāt
har shaam bichhaḌne kā sabab pūchh rahā huuñ
ye ḳhuun meñ Duube hue ma.asūm farishte
ḳhāmosh larazte hue hoñToñ kī duā huuñ
is darja huuñ sahmā huā sūraj kī tapish se
girtī huī dīvār ke saa.e meñ khaḌā huuñ
ai ḳhāk-e-vatan ab to vafāoñ kā silā de
maiñ TūTtī sāñsoñ kī fasīloñ pe khaḌā huuñ
palkoñ pe sajā.e hue sachchā.ī kī sham.eñ
nā-karda gunāhoñ kī sazā kaaT rahā huuñ
dastār salāmat na ridā.eñ na qabā.eñ
har lamha sulagte hue ḳhvāboñ kī chitā huuñ