Javed Akram Farooqi

phulon ko chhune se nashtar zaKHmi hoga

Javed Akram Farooqi

Amroha, Uttar pradesh, India

1960
phūloñ ko chhūne se nashtar zaḳhmī hogā
ab ke sar meñ lag kar patthar zaḳhmī hogā
kaafī din ke ba.ad safar se lauTā huuñ maiñ
jism thakan se chuur hai bistar zaḳhmī hogā
mausam ke chehre kī shikneñ kahtī haiñ
āñhkeñ hoñgī yā phir manzar zaḳhmī hogā
maujeñ dariyā ke siine par kyā likhtī haiñ
sochā to maiñ andar andar zaḳhmī hogā
barg-e-gul par sūraj ke neze mat rakkho
bholī-bhālī titlī kā par zaḳhmī hogā
ā.ankhoñ kī bastī meñ jab bāzār sajegā
kachche sapnoñ kā saudāgar zaḳhmī hogā
maiñ hāthoñ meñ ḳhanjar le kar soch rahā huuñ
lauTūñgā to merā bhī ghar zaḳhmī hogā
Top Urdushayar.com