tanhā.iyoñ meñ ashk bahāne se kyā milā
ḳhud ko diyā banā ke jalāne se kyā milā
mujh se bichhaḌ ke ret sā vo bhī bikhar gayā
us jaane vaale shaḳhs ko jaane se kyā milā
ab bhī mire vajūd meñ har saañs meñ vahī
maiñ sochtā huuñ us ko bhulāne se kyā milā
tū kyā gayā ki dil mirā ḳhāmosh ho gayā
in dhaḌkanoñ ke shor machāne se kyā milā
apne hī ek dard kā chāra na kar sake
saare jahāñ kā dard uThāne se kyā milā
jis ke liye likhā use vo to na sun sakā
vo giit mahfiloñ ko sunāne se kyā milā
un kā har ek harf hai dil par likhā huā
us dost ke ḳhatoñ ko jalāne se kyā milā
socho zarā ki tum ne zamāne ko kyā diyā
kyuuñ sochte ho tum ko zamāne se kyā milā