Ajay Sahaab

bikhra hun jab main KHud yahan koi mujhe girae kyun

Ajay Sahaab

Raigarh, Chhattisgarh, India

1969
bikhrā huuñ jab maiñ ḳhud yahāñ koī mujhe girā.e kyuuñ
pahle se raakh raakh huuñ phir bhī koī bujhā.e kyuuñ
iisā na vo nabī koī adnā sā aadmī koī
phir bhī salīb-e-dard ko sar pe koī uThā.eñ kyuuñ
saare jo ġham-gusār the kab ke raqīb ban chuke
aise meñ dostoñ koī apnā ye ġham sunā.e kyuuñ
yaktā vo zāt-e-akbarī dil ye haqīro asġharī
itnī vasī.a shai bhalā dil meñ mire samā.e kyuuñ
paltā hamāre ḳhuuñ se hai ishq magar adū se hai
apnā nahīñ jo bevafā ham ko yuuñ āzmā.e kyuuñ
sub.h kā vaqt aa.e to ḳhud hī bujhegā ye charāġh
is ko sahar se peshtar koī magar bujhā.e kyuuñ
jis par girī hai barq bhī jis pe havā kī hai nazar
shāḳhoñ meñ aisī ai 'sahāb' ghar bhī koī banā.e kyuuñ
Top Urdushayar.com