ik band ho gayā hai to kholeñge baab aur
ubhreñge apnī raat se sau āftāb aur
rūh-e-bashar ġhulām hai koī bhī ho nizām
ab bhī jahāñ ko chāhiye kuchh inqalāb aur
jab bhī baḌhī hai tishnagī mulk-o-avām kī
chhalkī hai qasr-e-shāh meñ thoḌī sharāb aur
aḳhlāq kī naqāb meñ le kar valī kā Dhoñg
nocheñge merī laash ko kitne uqaab aur
Darne lagā tū ek hī hamle meñ vaqt ke
baaqī haiñ terī ziist meñ kitne azaab aur