Ajay Sahaab

dil mera soz-e-nihan se umr bhar betab tha

Ajay Sahaab

Raigarh, Chhattisgarh, India

1969
dil mirā soz-e-nihāñ se umr bhar betāb thā
kashti-e-dil kā muqaddar pur-ḳhatar girdāb thā
vaañ ki aariz surḳh thā rañg-e-tilā-e-nāb se
yaañ vufūr-e-ashk se mizhgāñ mirā sīmāb thā
jaise khoje kāfiroñ meñ nik.hat-e-īmāñ koī
hāsil-e-haq is jahāñ meñ is qadar nāyāb thā
vaañ ki us ko niiñd misl-e-maġhfirat hāsil rahī
yaañ koī āzurdagī se tā-qazā be-ḳhvāb thā
jab likhā dil kā fasāna bah gayā kāġhaz kahīñ
ashk the itne ravāñ merā qalam pur-āb thā
sher aise kah ke bhī hāsil mirā gum-nām hai
varna merā ye hunar to qābil-e-alqāb thā
Top Urdushayar.com