jab bhī milte haiñ to jiine kī duā dete haiñ
jaane kis baat kī vo ham ko sazā dete haiñ
hādse jaan to lete haiñ magar sach ye hai
hādse hī hameñ jiinā bhī sikhā dete haiñ
raat aa.ī to taḌapte haiñ charāġhoñ ke liye
sub.h hote hī jinheñ log bujhā dete haiñ
hosh meñ ho ke bhī saaqī kā bharam rakhne ko
laḌkhaḌāne kī ham afvāh uḌā dete haiñ
kyuuñ na lauTe vo udāsī kā musāfir yaaro
zaḳhm siine ke use roz sadā dete haiñ