Ajay Sahaab

hum bhi guzar gae yahan kuchh pal guzar ke

Ajay Sahaab

Raigarh, Chhattisgarh, India

1969
ham bhī guzar ga.e yahāñ kuchh pal guzār ke
rāteñ thiiñ qarz kī yahāñ din the udhār ke
jaise purānā haar thā rishta tirā mirā
achchhā kiyā jo rakh diyā tū ne utaar ke
dil meñ hazār dard hoñ aañsū chhupā ke rakh
koī to kārobār ho bin ishtihār ke
kyā jaane ab bhī dard ko kyuuñ hai mirī talāsh
TukḌe bhī ab kahāñ bache is ke shikār ke
shāyad zabāñ pe qarz thā ham ne chukā diyā
ḳhāmosh ho ga.e haiñ tujhe ham pukār ke
aise sulag uThā tirī yādoñ se dil mirā
jaise dhadhak uTheñ kahīñ jañgal chīnār ke
Top Urdushayar.com