Ajay Sahaab

sahra-e-la-hudud mein tishna-labi ki KHair

Ajay Sahaab

Raigarh, Chhattisgarh, India

1969
sahrā-e-lā-hudūd meñ tishna-labī kī ḳhair
māhaul-e-ashk-bār meñ lab kī hañsī kī ḳhair
laffāz saare ban ga.e shāh-e-suḳhan yahāñ
sādiq suḳhan-varoñ kī suḳhan-parvarī kī ḳhair
mashriq meñ hind-o-chīn ke bāzār yuuñ baḌhe
jāh-o-jalāl-e-maġhribo-bartānavī kī ḳhair
hai auratoñ kī dhuum zamīñ se falak talak
sa.ī-e-baqā-e-shaukat-e-mardāngī kī ḳhair
arzāñ hai musht-e-ḳhāk se insān kī hayāt
tahzīb-e-qatl-o-ḳhūn meñ ab zindagī kī ḳhair
har samt qatl-e-ām hai maz.hab ke naam par
saarī aqīdatoñ kī ḳhudā-parvarī kī ḳhair
jamhūriyat kī laash pe tāqat hai ḳhanda-zan
is barahna nizām meñ har aadmī kī ḳhair
saarā vatan samajh chukā dair-o-haram kā sach
bad-kār rahbarān kī bāzīgarī kī ḳhair
urdu ġhazal ke naam pe chalte haiñ chuTkule
ġhālib ke faiz 'mīr' kī us sāhirī kī ḳhair
maġhrib se aa ga.ī yahāñ tahzīb-e-barahna
mashriq tirī rivāyatī pākīzgī kī ḳhair
andhe parakh rahe yahāñ me.ār-e-raushnī
dīdavar-e-hunar tirī dīda-varī kī ḳhair
Top Urdushayar.com