taaza havā ke vāste khiḌkī na ban sakā
de duuñ kisī ko chhāñv vo badlī na ban sakā
beTā basā bides meñ daulat ke Dher par
lekin vo būḌhe baap kī lāThī na ban sakā
shā.ir kā vāsta baḌā gahrā hai bhuuk se
us kā kalām aaj bhī roTī na ban sakā
kyuuñ kar karūñ umiid tū mujh sā banegā dost
jaisā maiñ chāhtā huuñ vo ḳhud bhī na ban sakā
ka.abe se lauT kar vahī sūd-o-ziyāñ kī fikr
haj kar liyā magar kabhī haajī na ban sakā
rah ke bhī duur sun sake abbā kī khāñsiyāñ
beTā kabhī bhī baap kī beTī na ban sakā
ḳhud kī kamī ko chhoḌ kar ġhairoñ pe hī uThe
maiñ aaj tak 'sahāb' vo uñglī na ban sakā