Ajay Sahaab

sab hai fani yahan sansar mein kis ka kya hai

Ajay Sahaab

Raigarh, Chhattisgarh, India

1969
sab hai faanī yahāñ sansār meñ kis kā kyā hai
fikr phir bhī hai tujhe apnā parāyā kyā hai
aap kā pahlā hī andāz batā detā hai
aap ko aap ke vālid ne sikhāyā kyā hai
zindagī ḳhud pe tū itnā bhī gumāñ mat karnā
chand sāñsoñ ke sivā terā asāsa kyā hai
phir se ik aur laḌā.ī ke bahāne ke sivā
tum batā do ki kisī jañg se miltā kyā hai
umr bhar kuchh na kiyā jis kī tamannā ke sivā
us ne pūchhā bhī nahīñ merī tamannā kyā hai
kuchh ġharīboñ kī galī meñ bhī diye jal jaa.eñ
is se behtar bhī divālī kā ujālā kyā hai
koī jazba koī ehsās na dhaḌkan hai koī
ye agar dil hai mire dost to sahrā kyā hai
daam man-māne use de ke ḳharīdā tū ne
dekh to le tujhe bāzār ne bechā kyā hai
vahī bhūke vahī aaheñ vahī aañsū haiñ 'sahāb'
shahr kā naam badal jaane se badlā kyā hai
Top Urdushayar.com