vo jo phuul the tirī yaad ke tah-e-dast-e-ḳhār chale ga.e
tire shahr meñ bhī sukūn hai tire be-qarār chale ga.e
na vo ashk ab na vo aable na vo chīḳhtī huī dhaḌkaneñ
mirī zaat se tire dard ke sabhī ishtihār chale ga.e
na vo yaad hai na vo hijr hai na nigāh-e-nāz kā zikr hai
mire zehn se tirī fikr ke sabhī rozgār chale ga.e
the vo fitratan hī shahīd-ḳhū unheñ qātiloñ se bhī pyaar thā
kabhī maqtaloñ meñ kaTe the vo kabhī sū-e-dār chale ga.e
na badan bachā na lahū bachā na to jism kā koī mū bachā
koī jā ke kah de ye dard se vo tire shikār chale ga.e
yuuñ abas kisī ko sadā na do dil-e-zār ko ye batā bhī do
kabhī ab na ā.eñge lauT kar vo jo ek baar chale ga.e
unheñ kyā lalak tire faiz kī unheñ kyā talab tire vasl kī
jo mizāj le ke faqīr kā sar-e-kū-e-yār chale ga.e
hai ye sach ki mausam-e-hijr meñ mirā ḳhaar ḳhaar badan huā
kabhī yaad tujh ko jo kar liyā to badan ke ḳhaar chale ga.e
na ḳhushī meñ ab vo surūr hai na to dard meñ vo nasha rahā
lo 'sahāb' bāda-e-ishq ke vo sabhī ḳhumār chale ga.e