vahī haiñ qatl-o-ġhārat aur vahī kohrām hai saaqī
tamaddun aur maz.hab kī ye ḳhūnī shaam hai saaqī
kalām-e-fan mirā ab tak nihāñ hai aise duniyā se
ki jyuuñ abdulha.ī meñ ik alif gumnām hai saaqī
merī gañg-o-jaman tahzīb kī duḳhtar hai ye urdu
ise muslim banāne kī ye sāzish aam hai saaqī
kareñge amn kī bāteñ diloñ meñ buġhz rakkheñge
yahī rasm-e-jahāñ aur fitrat-e-aqvām hai saaqī
qad-a-shā.ir ke badle dekhiye me.ayār sheroñ kā
faqat itnā mirī ġhazloñ kā ye paiġhām hai saaqī
arūz-o-ilm kī ta.alīm mujh ko kab rahī hāsil
mirā ustād to bas ye ġham-e-ayyām hai saaqī
vahī ġhālib hai ab to jo ḳharīde shohrateñ apnī
rubā.ī bechne vaalā umar-'ḳhayyām' hai saaqī
ye ġhazleñ ġhaib se nāzil nahīñ ashkoñ kā hāsil haiñ
mirā ye dard hī sab se baḌā ilhām hai saaqī