Ajay Sahaab

laga ke dhaDkan mein aag meri ba-rang-e-raqs-e-sharar gaya wo

Ajay Sahaab

Raigarh, Chhattisgarh, India

1969
lagā ke dhaḌkan meñ aag merī ba-rañg-e-raqs-e-sharar gayā vo
mujhe banā ke sulagtā sahrā mire jahāñ se guzar gayā vo
yuuñ niiñd se kyuuñ mujhe jagā kar charāġh-e-ummīd phir jalā kar
huī sahar to use bujhā kar havā ke jaisā guzar gayā vo
vo ret par ik nishān jaisā thā mom ke ik makān jaisā
baḌā sambhal kar chhuā thā maiñ ne pa ek pal meñ bikhar gayā vo
vo saath mere thā jaise har pal vo dekhtā thā mujhe musalsal
zarā sā mausam badal gayā to churā ke mujh se nazar gayā vo
vo ek bichhḌe se miit jaisā vo ik bhulā.e se giit jaisā
koī purānī sī dhun jagā kar vajūd-o-dil meñ utar gayā vo
vo dost saare the chaar pal ke jo chal diye ham-safar badal ke
'sahāb'-e-nādāñ vahīñ khaḌā hai usī Dagar par Thahar gayā vo
Top Urdushayar.com