mere andar jo ik faqīrī hai
ye hī sab se baḌī amīrī hai
kuchh nahīñ hai magar sabhī kuchh hai
dekh kaisī jahān-gīrī hai
pañkhuḌī ik gulāb ke jaisī
mere sheroñ meñ aisī miirī hai
sher kahtā hai bech detā hai
tujhmeñ kaisī ye lā-zamīrī hai
tujh se rishta kabhī nahīñ suljhā
us kī fitrat hī kāshmīrī hai
ruuh aur jism surḳh haiñ ḳhuuñ se
phir bhī ye pairahan harīrī hai