yuuñ hī har baat pe hañsne kā bahāna aa.e
phir vo ma.asūm sā bachpan kā zamāna aa.e
kaash lauTeñ mire paapā bhī khilaune le kar
kaash phir se mire hāthoñ meñ ḳhazāna aa.e
kaash duniyā kī bhī fitrat ho mirī maañ jaisī
jab maiñ bin baat ke rūThūñ to manānā aa.e
ham ko qudrat hī sikhā detī hai kitnī bāteñ
kaash ustādoñ ko qudrat sā paḌhānā aa.e
aah sahsā kabhī schōl se chhuTTī jo mile
chīḳh kar bachchoñ kā vo shor machānā aa.e
aaj bachpan kahīñ bastoñ meñ hī uljhā hai 'sahāb'
phir vo titlī ko pakaḌnā vo uḌānā aa.e