aag jo dil meñ lagī hai vo bujhā dī jaa.e
phir koī taaza ġhazal aaj sunā dī jaa.e
zīnat-e-jism bane ruuh ko chhalnī kar de
aisī har rasm zamāne se miTā dī jaa.e
sunte haiñ ishq kā bāzār bahut garm hai phir
qīmat-e-husn zarā aur baḌhā dī jaa.e
ik jhalak ke liye sau baar sar-e-bām gayā
ātish-e-shauq ko kuchh aur havā dī jaa.e
raaz siine meñ dabā hai jo sar-e-bazm kahūñ
sirf ik baar mujhe us kī razā dī jaa.e
zindagī dhuup meñ jalte hue kaaTī jis ne
saaya mil jaa.e koī us ko duā dī jaa.e
jā-ba-jā aks merī āñkhoñ meñ ubhre jis kā
us kī tasvīr bhī ab dil se haTā dī jaa.e
vaqt aajil hai safar tuul hai dam āñkhoñ meñ
ruḳh-e-jānāñ se naqāb ab to uThā dī jaa.e
tishnagī aañkh kī kam ho koī sūrat nikle
pas-e-parda hī jhalak kaash dikhā dī jaa.e
munjamid koh-e-nidā par hai taġhāful se tire
hiddat-e-chashm-e-karam us pe luTā dī jaa.e
muskurāte hue sar siine pe rakh kar bole
maraz-e-ishq hai lāzim hai davā dī jaa.e
ye bhī mumkin hai magar tab ki vo ḳhud aa ke kahe
baat jo dil ko dukhātī hai bhulā dī jaa.e