Asra Rizvi

ye aag mohabbat ki bujhae na bujhe hai

Asra Rizvi

bhikhpur, Bihar, India

1993
ye aag mohabbat kī bujhā.e na bujhe hai
bujh jaa.e jo ik baar jalā.e na jale hai
TuuTā jo bharam rishtoñ meñ ehsās-o-vafā kā
sau tarah nibhāo to nibhā.e na nibhe hai
ḳhvāboñ kā mahal yuuñ hī banāyā na karo tum
ta.amīr jo ho jaa.e girā.e na gire hai
dahlīz pe dil kī jo qadam rakkhe hai koī
Tik jaa.e hai aise ke hilā.e na hile hai
hai bāġh-e-mohabbat meñ vafā kā jo hasīñ gul
murjhā jo gayā phir to khilā.e na khile hai
dil chiiz hai aisī ki ujaḌ jaa.e jo ek baar
phir laakh basāo to basā.e na base hai
kyuuñ naqsh liye chashm-e-tasavvur meñ phiro ho
ho jaa.e ye gahrā to miTā.e na miTe hai
koshish to bahut kī hai ki dhul jaa.e har ik aks
ik shakl hai aisī ki bahā.e na bahe hai
dekh aa.ī haiñ shāyad kahīñ mahbūb ko apne
āñkhoñ kī chamak aaj chhupā.e na chhupe hai
bātoñ man jo kar jaa.e hai iqrār-e-mohabbat
phir baat koī us se banā.e na bane hai
har-gām qadam apnā sambhāle rakho 'asrā'
dāman pe lagā daaġh chhuḌā.e na chhuTe hai
Top Urdushayar.com