zindagī uljhī hai bikhre hue gesū kī tarah
ġham piye jaate haiñ umDe hue aañsū kī tarah
aaj vahshat kā ye aalam hai ki har insāñ hai
dasht-e-tajrīd ke bhāge hue aahū kī tarah
zulm kā aag ugaltā huā sūraj sar par
tapish-e-dard se har saañs hai ab lū kī tarah
hai gulistāñ meñ tirī gul-badanī kā shohrā
kaash tū guzre idhar se kabhī ḳhushbū kī tarah
assī ummīd pe ā.īna-e-dil dhote haiñ
mun.akis ho koī sūrat mire mah-rū kī tarah
shab-e-furqat meñ bhī tanhā.ī mayassar na huī
laakh ġham ghere rahe mujh ko jafā-jū kī tarah
be-dilī shart-e-mulāqāt hai to yuuñ hī sahī
ham tire shahr meñ ab ā.eñge sādhū kī tarah
Dūbne lagtī hai jab rañg ke sailāb meñ aañkh
yaad tab us kī bachā letī hai jaadū kī tarah
sarzanish bhī tirī bantī hai sahārā merā
rāh-e-dushvār meñ phaile hue baazū kī tarah
lazzat-e-dahr meñ gum hotā hai jab dil 'asrā'
tab kasak uThtā hai vo dard ke pahlū kī tarah