Asra Rizvi

wo shaKHs phir kahani ka unwan ban gaya

Asra Rizvi

bhikhpur, Bihar, India

1993
vo shaḳhs phir kahānī kā unvān ban gayā
maiñ dard likh rahī thī vo dīvān ban gayā
gardish meñ chāroñ samt rahe us ke lafz lafz
kuchh yuuñ huā ke aaj vo mehmān ban gayā
ḳhush thī maiñ us ko baḳhsh ke kirdār phir nayā
vo merī dil-lagī kā bhī sāmān ban gayā
mahfil uruuj par thī ki nazreñ ulajh paḌīñ
sab jān-būjh ke bhī vo anjān ban gayā
jab us kā ishq ḳhuun kī dhāroñ meñ hal huā
mere liye to lūlū-o-marjān ban gayā
itne taġhayyurāt ke allāh kī panāh
har karb mere ishq kā tāvān ban gayā
lazzat to aañkh ne bhī uThā.ī thī saarī raat
ik ḳhvāb merī ruuh kā sohān ban gayā
kuchh aur ramz mujh pe kiye jaa.eñ āshkār
us kī taraf se ye nayā farmān ban gayā
'asrā' qadam sambhāl ke rakhnā zamīn par
shaitān kah rahā hai ki rahmān ban gayā
Top Urdushayar.com