Asra Rizvi

be-sabab KHauf se dil mera larazta kyun hai

Asra Rizvi

bhikhpur, Bihar, India

1993
be-sabab ḳhauf se dil merā laraztā kyuuñ hai
bāt-be-bāt yūñhī ḳhud se ulajhtā kyuuñ hai
shor aise na kare bazm meñ ḳhāmosh rahe
ik tavātur se ḳhudā jaane dhaḌaktā kyuuñ hai
mom kā ho ke bhī patthar kā banā rahtā thā
ab ye jazbāt kī hiddat se pighaltā kyuuñ hai
hijr ke jitne bhī mausam the vo kaaTe hañs kar
phir sar-e-shām hī yādoñ meñ sisaktā kyuuñ hai
us ke hone se maiñ inkār karūñ to kaise
aks us kā mirī āñkhoñ meñ jhalaktā kyuuñ hai
jab bhī ḳhāmoshī se tanhā.ī meñ baiThī jā kar
karb sā us kī rifāqat kā chhalaktā kyuuñ hai
phuuT jaa.e ye kisī taur koī Thes lage
ban ke phoḌā sā vo ab dil meñ Tapaktā kyuuñ hai
jo muqaddar meñ likhā thā vo huā hai 'asrā'
ḳhvāb kī bātoñ se is tarah machaltā kyuuñ hai
Top Urdushayar.com