Saqib Lakhnavi

chaman ka zikr kya ab to KHuda ko yaad karte hain

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
chaman kā zikr kyā ab to ḳhudā ko yaad karte haiñ
ḳhushī sayyād ko hotī hai jab fariyād karte haiñ
na sharmāo agar ham shikva-e-bedād karte haiñ
mohabbat hai tumhārī ādatoñ ko yaad karte haiñ
hamārī dāstān-e-ġham rulātī hai zamāne ko
vo ham haiñ jo zabān ġhair se fariyād karte haiñ
ḳhudā ābād rakhe ham-safīrān-e-gulistāñ ko
jo koī phuul khultā hai to ham ko yaad karte haiñ
asīrān-e-qafas ḳhud bhī bahut kuchh kah guzarte haiñ
chaman ke tazkire aapas meñ jab sayyād karte haiñ
nahīñ ma.alūm maiñ kis haal meñ huuñ bāġh-e-ālam meñ
qafas vaale bhī mujh ko dekh kar fariyād karte haiñ
ḳhud un kā husn merī dād-ḳhvāhī un se kartā hai
vo ā.īna liye haiñ aur mujh ko yaad karte haiñ
adū sayyād gulchīñ kyuuñ ho mere nasheman ke
ye tinke bhī haiñ is qābil jinheñ barbād karte haiñ
lahad par chalne vaale tham ki ham kuchh kah nahīñ sakte
zamīñ rakhtī hai muñh par haath jab fariyād karte haiñ
vo ḳhūbāñ jahāñ ashkoñ se jin kā husn sīñchā thā
vahī ba.ad-e-fanā miTTī mirī barbād karte haiñ
sar-e-gor-e-ġharībāñ kuchh na pūchho hāl-e-dil 'sāqib'
zamāna jin ko bhūlā hai ham un ko yaad karte haiñ
Top Urdushayar.com