phir koī tāza-sitam vo sitam-ījād kare
kaash is karb-e-taġhāful se ab āzād kare
kahīñ banjar hī na ho jaa.e mire dil kī zamīñ
lāla-e-zaḳhm se is kisht ko ābād kare
jāntā thā ke har āvāz palaT aa.egī
phir tavātur se duā kyuuñ dil-e-nāshād kare
apne lahje kī hī saḳhtī ko tasavvur kar ke
lauT aane kī shab-e-hijr meñ fariyād kare
gām-dar-gām badaltā hai chalan zālim kā
jaane is baar na.ī kaun sī bedād kare
us se kah de koī ḳhāmosh hai sāz-e-hastī
chheḌ kar vasl kā naġhma mirā dil shaad kare
log anjām kī dahshat se nikal aa.e haiñ
ab jo kar paa.e to is shahr ko barbād kare