adāvatoñ kā ye us ko sila diyā ham ne
anā ko us kī hamīñ meñ Dubā diyā ham ne
malāl-o-huzn se ho kar guzartī rāhoñ ko
yaqīn-o-shauq se paiham milā diyā ham ne
misāl ban ga.ī mahbūb aur habīb kī zaat
ye aa.ina sar-e-ālam dikhā diyā ham ne
tamām jabr-o-tashaddud kī had bhī ḳhatm huī
ki jab se sabr ko mehvar banā diyā ham ne
kisī ḳhayāl kā aanā muhāl hai ab to
tasavvurāt kā ḳhema jalā diyā ham ne
abhī bhī uñglī uThāne kī rasm baaqī hai
har ik sabab ko agarche miTā diyā ham ne
ab aur ġharq-e-tajassus na ho mirī ḳhātir
tumheñ to faisla apnā sunā diyā ham ne
ye lāzmī hai ki 'asrā' bhulā diyā jaa.e
jo raaz dil kī zamīñ meñ dabā diyā ham ne